LYSJÖFN TÓNLISTAR

Prabhu, ab to aap, iss khel ka, anth karo.
Yaha jeevan me, dukh va peeda, hi saha,
Aur maine, parivar, ko kuch na diya,
Ab to aap, iss khel ka, anth karo.
Ummed se, maine jeevan jiya,
Har mod ko, behtar hi socha,
Koshish me, varsho jiya,
Par, aap ne, to shunya ka yaha khel dekha.
Ab aap to, iss khel ka, anth karo.
Ab aap to, iss khel ka, anth karo.
Prayatna kar, mai toh har gaya,
Rog bhi saha, saha kar har gaya,
Doosron par, aashrit bhi raha,
Ab aap to, iss khel ka, anth karo.
Ab aap to, iss khel ka, anth karo.
Janmo janm ki, galtiyan ab na uthe,
Ahankar to, bhool hi thi,
Jeevan me, raja na rankh, chahoon,
Ab aap to, iss khel ka, anth karo.
Bus ab aap, iss khel ka, anth karo.